free download Na Aadami Ka Koyi Bharosa From Aadmi 1968


Song Lyrics: Na Aadami Ka Koyi Bharosa
Song Lyrics Movie or Album: Aadmi (1968)
Singer(s): Mohammad Rafi
Music Director(s): Naushad
Lyricist(s): Shakeel Badayuni


 Lyrics


teri mohabbat pe shak nahi hai
teree wafao ko manata hu
magar tujhe kiski aarju hai
main yeh hakikat bhi janata hu

na aadami ka koyi bharosa
naa dosti ka koyi thikana
wafaa kaa badalaa hain bewafayi
ajab jamana hain yeh jamana
na aadami ka koyi bharosa

naa husn mein abb woh dilakashee hai
naa ishk mein abb woh jindagi hai
jidhar nigaahe uthake dekho
sitam hain dhokhaa hain berukhi hai
(badal gaye jindagee ke nagame
bikhar gayaa pyaar kaa tarana) - (2)
na aadami ka koyi bharosa

dawa ka badale mein jeher de do
utaar do mere dil mein khanjar
lahu se sincha tha jis chaman ko
uge hain shole ussi ke andar
(mere hee ghar ke charaag ne khud
jala diya mera aashiyana) - (2)
na aadami ka koyi bharosa
naa dosti ka koyi thikana
wafaa kaa badalaa hain bewafayi
ajab jamana hain yeh jamana...


Posted by: {Anamika Tyagi}


lowerbanner

Free Na Aadami Ka Koyi Bharosa songs download

Recent Tag : Free Na Aadami Ka Koyi Bharosa songs download, Na Aadami Ka Koyi Bharosa mp3 song free download, online play Na Aadami Ka Koyi Bharosa mp3 song, Na Aadami Ka Koyi Bharosa lyrics, Na Aadami Ka Koyi Bharosa from Aadmi 1968