Song Lyrics Title : Ek Machhar Song Lyrics Movie : Yeshwant (1997) Singer:Pt. Rabindra Atibudhi, Krityea Music By:Ram Lakshman Lyricist:Suroor Luckhnavi
mp3 songs
ek machhar, ek machhar sala aadami ko ijada bana deta hai ek khatmal puri rat ko apahij kar deta hai ek machhar sala aadami ko ijada bana deta hai mat aao mere pas rahne do mujhe akela ladne do mujhe apni ladayi kabhi na kabhi to jhut ka gala ghotegi sachayi, lekin sala ek machhar aadami ko ijada bana deta hai subha ghar se niklo bhid ka ek hisa bano sham ko ghar jao, daru pio, bache pada karo aur subha talak phir ek bar mar jao kyoki aatma aur andar ka insan mar chuka hai jine ke ghinone samjhote kar chuka hai sala ek machhar aadami ko ijada bana deta hai
uchi dukan fika pakwan khadar ki langoti chandani ka pikdan so me se asi biman phir bhi mera desh mahan
topi lagaye machhar kahta hai desh ke logo me samta ki bhawana aa rahi hai isiliye to badi machhali chhoti ko kha rahi ahi hamare chune huye kute, hume hi kate hai humare hise ki rotiya apas me bate hai human gand se bhari unki aawaj se nage raste kapte hai kal peda huye bache, ek sans lete huye hapte hai satano ki najayaj aolad talkha macha rahi hai aur hum hum bhagwan ke chehte janwar insan zindagi ko gali banaye bethe hai kya kare, sala sala ek machhar aadami ko ijada bana deta hai
giro salo giro giro giro to lekin giro us jharne ki tarha jo parwat ki uchai se gir ke bhi apni sundarta khone nahi deta zamin ke tah se milke bhi apne astitav ko mitane nahi deta lekin itana sochane ke liye waqt hai kiske pas, kyoki sala ek machhar aadami ko ijada bana deta hai
mandir, masjid ki ladayi me mar gaye lakho insan dharam aur mhjab ke naam par ho gaye hajaro kurban jis ne anyay ke virod me bali ko mara, rawan ko mot ke ghat utara punay ko pap se ubhara, mujhe us ram ki talash hai magar lagta hai is yug ke ram ko aajivan vanvas hai, kya kare kyoki, sala ek machhar aadami ko ijada bana deta hai ye machhar, ye machhar, jiska kichado me ghar hai naliyo me basera hai, iski pahchan ye hai ke ye na tera na mera hai ye machhar ijada bana dega, ijada bana dega kabhi satan aayege, mere darwaje par dastak dege jahan ki talashi lege, phir jal utege, us waqt mai daruga nahi apne sharir ko dhal, hath ko talwar banuga, ek na ek din to tum mera hath chumoge, karo, aaj mujhe badnaam karo nilam karo nilami ke liye kya hai mere pas, jalte huye aanshuo ka aeshas mana, magar mai tumse badala luga, tumhari aakhiri boli par mere do sanso tharo tumhe fokat me duga, kyoki salo ek machhar ne tumhe ijada bana diya hai
| |