free download Aaj Ki Raat From Nai Umar Ki Nai Fasal 1965


Song Lyrics Title = Aaj Ki Raat
Song Lyrics Movie = Nai Umar Ki Nai Fasal (1965)
Singers = Asha Bhosle, Mohammed Rafi
Song Lyricists = Neeraj Pathak
Music Composer = Roshanlal Nagrath
Director = R. Chandra
Music Label = Saregama
Starring = Rajeev, Tanuja, Ulhas, Shobhna Samarth, Leela Chitnis,
S.K. Prem, M.A. Latif, Renuka Roy
Release on = 15th June, 1965

mp3 songs


Aaj ki raat badi shokh badi natkhat hai
Aaj to tere binaa neend nahin aayegi
Ab to tere hi yahaan aane kaa ye mausam hai
Ab tabeeyat na khayaalon se bahal paayegi

Haay paani ki ye rimjhim ye guledaar phuhaar
Aise nas nas mein teri chaah jagaa jaati hai
Jaise pinjre mein kisi qaid pade panchhi ko
Apni aazaad udaanon ki yaad aati hai
Ab to aa jaao
Ab to aa jaao meri maang ke sindoor suhaag
Saans teri hai
Saans teri hai tere naam pe mit jaayegi
Aaj to tere binaa neend nahin aayegi

Aisi hi raat to wo thhi ke teri nazron ne
Mujhe pahnaayaa thaa jab pyaar ke kapdon kaa libaas
Aur us raat bhi aisi hi sharaabi thhi fizaa
Jab teri baahon mein mahki thhi meri saans-o-adaa
Aur ab aisi
Aur ab aisi jawaan rut mein akeli main hoon
Aa jaa warnaa
Aa jaa warnaa ye shamaa kaanp ke bujh jaayegi
Aaj to tere binaa neend nahin aayegi
Aaj ki raat badi shokh badi natkhat hai
Aaj to tere binaa neend nahin aayegi

Hmm hmm hmm
Par thahar wo jo wahaan
Par thahar wo jo wahaan lete hain footpaathon par
Laash bhhi jinki kafan tak na yahaan paati hai
Aur wo jhonpde chhat bhi na hai sar par jin ke
Chhaate chhappar hi jahaan zindagi so jaati hai
Pahle in sab ke liye
Pahle in sab ke liye ek imaarat gadh loon
Phir teri maang
Phir teri maang sitaaron se bhari jaayegi
Aaj to tere binaa neend nahin aayegi
Aaj ki raat badi shokh badi natkhat hai
Aaj to tere binaa neend nahin aayegi.....


Posted by : {Anamika Tyagi}


lowerbanner

Free Aaj Ki Raat songs download

Recent Tag : Free Aaj Ki Raat songs download, Aaj Ki Raat mp3 song free download, online play Aaj Ki Raat mp3 song, Aaj Ki Raat lyrics, Aaj Ki Raat from Nai Umar Ki Nai Fasal 1965